Monday, March 14, 2011

Aaj Ruthe Huye Sajan Ko Bahut Yaad Kiya - [Lyricist: Saghar Siddiqui]

Aaj ruthe huye sajan ko bahut yaad kiya
apane ujade huye gulshan ko bahut yaad kiya

jab kabhee gardishe takadir ne ghera hai hame
gesue yaar kee ulajhan ko bahut yaad kiya

jisake maathe pe nayee subaho ka jhummar hoga
hamane uss wakt kee dulhan ko bahut yaad kiya

aaj tute huye sapano kee bahut yaad aayee
aaj bite huye saawan ko bahut yaad kiya

ham saare tur bhee mayuse tajallee hee rahe
uss dare yaar kee chilaman ko bahut yaad kiya

Friday, March 11, 2011

AAP KO BHOOL JAYEN HUM -(TUM MILAY PEYAR MILA )

Aap ko bhool jaayen hum, itne to bewafa nahin.
Aapse kya gila karen? Aapse kuch gila nahin.
 
Hum tou samjh rahe the yeh, tum mile pyaar mel gaya.
Ek tere dard ke siva, hum ko to kuch mila nahin.

Sisha-e-dil ko todna, unka to ek khel hai. 
Humhi se bhool ho gayee, unke koi khata nahin.
 
Kaash wo apne gham mujhe de den to kuch sukoon mile,
wo kitna bad-naseeb hai, gam hee jise mila nahin
 
Jurm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko shod doon
Kehte hain is gunaah kee hoti koi saza nahin

Thursday, March 10, 2011

ibn-e-mariyam hua kare koi - Farida Khanum

Ibn-e-mariyam huaa kare koi
mere dukh ki davaa kare koi

[ibn=son; mariyam=The Virgin Mary]


Baat par vaan zubaan katati hai
vo kahen aur sunaa kare koi

chaal jaise kadi kamaan kaa teer
dil mein aise ke jaa kare koi

[jaa=space ]

Jab tavaqqo hi uth gayi "Ghalib"
kyo  kisi kaa gilaa kare koi

[tavaqqo=expectations; gilaa=complaint]


shuraa-o-aa_iin par madaar sahi
aise qaatil kaa kyaa kare koi

[shuraa=the Islamic divine code of life; aa_iin=law]
[madaar=circumference / place of turning ]


bak rahaa huun junuum mein kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koi

[junuu.N=ecstasy]

na suno gar buraa kahe koi
na kaho gar buraa kare koi

rok lo gar galat chale koi
baKhsh do gar Khata kare koi

[baKhsh=pardon, Khata=mistake]

kaun hai jo nahin hai haajatamand
kisaki haajat ravaa kare koi

[haajatamand=person in need; haajat=need; ravaa=fulfill]

kyaa kiyaa Khijr ne sikandar se
ab kise rahanumaa kare koi

Ranjish hi Sahi

रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ
आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ ।
रंजिश=enmity
पहले से मरासिम न सही फिर भी कभी तो
रस्म-ओ-रह-ए-दुनिया ही निभाने के लिए आ ।
मरासिम=agreements/relationships, रस्म-ओ-रह-ए-दुनिया=customs and traditions of the society
किस किस को बताएँगे जुदाई का सबब हम
तू मुझ से ख़फ़ा है तो ज़माने के लिए आ ।
सबब=reason, ख़फ़ा=angry
कुछ तो मेरे पिन्दार-ए-मुहब्बत का भरम रख
तू भी तो कभी मुझ को मनाने के लिए आ ।
पिन्दार=pride
एक उम्र से हूँ लज़्ज़त-ए-गिरिया से भी महरूम
ऐ राहत-ए-जाँ मुझ को रुलाने के लिए आ ।
लज़्ज़त-ए-गिरिया=taste of sadness/tears, महरूम=devoid of, राहत-ए-जाँ=peace of life
अब तक दिल-ए-ख़ुश’फ़हम को तुझ से हैं उम्मीदें
ये आख़िरी शम्में भी बुझाने के लिए आ ।
दिल-ए-ख़ुश’फ़हम=optimistic heart, शम्में=candle


----------------version 2----------------

Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Let it be anguish, come still to torment my heart
aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aa
Come, even if to leave me again
pehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
If not for our past association
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
Come to fulfill the rituals of the world
kis kis ko bataayengay judaai kaa sabab ham
Who else must I explain the reason of separation
tu mujh se khafaa hai to zamaanay kay liyay aa
Come, despite your displeasure, to continue the ceremony
kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Respect a little the depth of my love for you
tu bhi to kabhi mujh ko manaanay kay liyay aa
Come someday to placate me as well
ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
Too long have I been deprived of the pathos of longing
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa
Come my love, if only to make me weep again
ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedain
Till now, my heart suffers from some expectation
ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa
Come to snuff even these last candles of hope


----------------------version 3--------------------
ranjish hi sahi dil hi dukhaane k liye a
a phir se mujhe chod k jaane k liye a

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe dunia hi nibhane k liye a
(marasim-relationship)

kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane k liye a

kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane k liye a
(pindaar-pride,self-esteem)

ek umar se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane k liye a
(giriya-crying)

ab tak dil-e-khush-faham ko tujh se hai umeedein
yeh aakhri shamein bhi bujhane k liye a

mana k mohabbat ka chipana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane k liye a

jaise tujhe aate hain na aane k bahane
aise hi kisi roz na jaane k liye a…

Mere Humnafas, Mere Humnawa - Farida Khanum

Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De

Mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,
Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar,
Yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na De

Mujhe Ae Chhorh De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De

Mera Azm Itna Buland Hai
Ke Paraaye Sholo-n Ka Darr Nahin
Mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,
Yeh Kahin Chaman Ko Jala Na De

Woh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu,
Arrey O 'Shakeel' Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!

Dil-E-Muztar Ko Samjhaaya - Farida Khanum

dil-e-muztar ko samjhaaya bahot hai
magar is dil ne tadpaaya bahot hai
Muztar: Restless
Dil-E-Muztar: restless/impatient/anxious heart
Samjhaana Explain, Reason With, Remonstrate, Console
Bahot: Many, Much, Numerous, Very
Tadap: Yearning, Yen
qayaamat hai yeh tarh ke aarzoo tark-e-aarzoo bhi
mujhe aksar woh yaad aaya bahot hai
Qayaamat: Resurrection, Judgement Day, Tumult
Tarh: Condition, Design, Form, Foundation, Like, Manner, Mode, Plan, Style, Type, Way
Tark: Abandon, Abdicate, Break, Evacuate, Give Up, Leave, Relinquish, Renounce, Walkway, Waive
Aarzoo: Aspiration, Desire, Hankering, Hunger, Longing, Solicitude, Wish, Yearning, Yen
Tark-e-Aarzoo: Abandonment of Desire
Aksar: Continually, Frequently, Usually, Generally, Often, At Times, Most, Much, Many
tabassum bhi hayaa bhi berukhi bhi
yeh andaaz-e-sitam bhaaya bahot hai
Tabassum: Smile
Hayaa: Bashfulness, Modesty, Retiring, Shame, Shyness
Berukhi: Aloofness Caused By Anger, Ignorance, Indifference
Andaaz: Genre, Manner, Mode, Type, Style, Way
Sitam: Cruelty, Injustice, Oppression Tyranny, Torment, Torture, Violence
Andaaz-e-Sitam: Manner of Tormenting
Bhaana: To be approved (of), to be acceptable (to, -ko), be pleasing (to), to please; to be beloved, be held dear; to suit, fit, become; to seem good or befitting
rahein hasti ke is jalte safar mein
tumhaari yaad ka saayaah bahot hai
Hasti: Being, Existence, Life
Saayaah: Shadow, Shade, Shelter, Apparition
qayaamat hai yeh tarh ke aarzoo bhi
mujhe aksar woh yaad aaya bahot hai
magar is dil ne tadpaaya bahot hai
dil-e-muztar ko samjhaaya bahot hai

Dil Jalane Ki Baat - Farida Khanum

Dil jalane ki baat kartay ho
dil jalane ki baat kartay ho
ashianae ki baat kartay ho
dil jalane ki baat kartay ho

sari dunia kae raang o gaam dae kar
sari dunia kae raang o gaam dae kar
muskuranae ki baat kartay ho
muskuranae ki baat kartay ho
ashianae ki baat kartay ho

Sari dunia kae raang o gaam dae kar
sari dunia kae raang o gaam dae kar
muskuranae ki baat kartay ho
muskuranae ki baat kartay ho
ashianae ki baat kartay ho

Ham ko apni khabar nahin yaro
ham ko apni khabar nahin yaro
tum zamanay ki baat kartay ho
tum zamanay ki baat kartay ho

Ham ko apni khabar nahin yaro
ham ko apni khabar nahin yaro
tum zamanay ki baat kartay ho
tum zamanay ki baat kartay ho
dil jalane ki baat kartay ho

Zikir mera sunna tu chir kae kaha
zikir mera sunna tu chir kae kaha
dil behlanay ki baat kartay ho
kiss zamanay ki baat karta ho

Dil jalane ki baat kartay ho
ashianae ki baat kartay ho
dil jalanae ki baat karta ho