Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De
Mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,
Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar,
Yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na De
Mujhe Ae Chhorh De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De
Mera Azm Itna Buland Hai
Ke Paraaye Sholo-n Ka Darr Nahin
Mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,
Yeh Kahin Chaman Ko Jala Na De
Woh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu,
Arrey O 'Shakeel' Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!
Wowwww... Jitne aacchhee lyrics hain utni hee sanjedgi ke gaya hai Farida Ji ne iss Gazal kooo.... Kamal!!!
ReplyDeleteBegum Akhtar sahiba ne bhi bahot accha gaya hai...agar ho sake toh zarur sune...
DeleteApne jazbaton ko ek ghazal mein shamil kar lena bhi to ek kalaa hai, haina ji?
ReplyDeleteBeautiful ghazal by Shakeel Badayuni
ReplyDeletemy fav ghazal
ReplyDeleteOne of mine favourite ghazal. I just love this,
ReplyDeletebehtareen gazal
ReplyDeleteLast verse:
ReplyDeleteWoh uthe hain leke hom-o-subu....
Should it not be khum-o-subu
Outstanding
ReplyDeleteMost beautiful, haunting, sensual.
ReplyDeleteI think it should be Qum-o-Subu
ReplyDeleteखुम-ओ-सुकूँ
ReplyDeleteSome typo correction suggested to make perfect reading:
ReplyDeleteLine 3 : dard.e hijr se jaaN balab
Line 11 : delete. Ae
Line 17: khum.o.subu
PK Swami
Pl read line 11 as 9.
Deletesoooooooooooooo beautiful
ReplyDeletePlease correct it Jaan balad not valad
ReplyDeleteIn fact the correct word is jaaN balab.
DeleteMeaning ishq ke dard se jaan itni gale tak ( labooN tak)aa jaye k aur bardaasht ki gunjaish na ho !
LAJAWAB Farida Khanum.
ReplyDeletethis ghazal is ultimate by muni begam
ReplyDelete