Thursday, March 10, 2011

ibn-e-mariyam hua kare koi - Farida Khanum

Ibn-e-mariyam huaa kare koi
mere dukh ki davaa kare koi

[ibn=son; mariyam=The Virgin Mary]


Baat par vaan zubaan katati hai
vo kahen aur sunaa kare koi

chaal jaise kadi kamaan kaa teer
dil mein aise ke jaa kare koi

[jaa=space ]

Jab tavaqqo hi uth gayi "Ghalib"
kyo  kisi kaa gilaa kare koi

[tavaqqo=expectations; gilaa=complaint]


shuraa-o-aa_iin par madaar sahi
aise qaatil kaa kyaa kare koi

[shuraa=the Islamic divine code of life; aa_iin=law]
[madaar=circumference / place of turning ]


bak rahaa huun junuum mein kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koi

[junuu.N=ecstasy]

na suno gar buraa kahe koi
na kaho gar buraa kare koi

rok lo gar galat chale koi
baKhsh do gar Khata kare koi

[baKhsh=pardon, Khata=mistake]

kaun hai jo nahin hai haajatamand
kisaki haajat ravaa kare koi

[haajatamand=person in need; haajat=need; ravaa=fulfill]

kyaa kiyaa Khijr ne sikandar se
ab kise rahanumaa kare koi

No comments:

Post a Comment