Thursday, March 10, 2011

Mere Humnafas, Mere Humnawa - Farida Khanum

Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De

Mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,
Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar,
Yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na De

Mujhe Ae Chhorh De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De

Mera Azm Itna Buland Hai
Ke Paraaye Sholo-n Ka Darr Nahin
Mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,
Yeh Kahin Chaman Ko Jala Na De

Woh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu,
Arrey O 'Shakeel' Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!

19 comments:

  1. Wowwww... Jitne aacchhee lyrics hain utni hee sanjedgi ke gaya hai Farida Ji ne iss Gazal kooo.... Kamal!!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Begum Akhtar sahiba ne bhi bahot accha gaya hai...agar ho sake toh zarur sune...

      Delete
  2. Apne jazbaton ko ek ghazal mein shamil kar lena bhi to ek kalaa hai, haina ji?

    ReplyDelete
  3. Beautiful ghazal by Shakeel Badayuni

    ReplyDelete
  4. One of mine favourite ghazal. I just love this,

    ReplyDelete
  5. Last verse:
    Woh uthe hain leke hom-o-subu....

    Should it not be khum-o-subu

    ReplyDelete
  6. Most beautiful, haunting, sensual.

    ReplyDelete
  7. खुम-ओ-सुकूँ

    ReplyDelete
  8. Some typo correction suggested to make perfect reading:

    Line 3 : dard.e hijr se jaaN balab

    Line 11 : delete. Ae

    Line 17: khum.o.subu

    PK Swami

    ReplyDelete
  9. Please correct it Jaan balad not valad

    ReplyDelete
    Replies
    1. In fact the correct word is jaaN balab.

      Meaning ishq ke dard se jaan itni gale tak ( labooN tak)aa jaye k aur bardaasht ki gunjaish na ho !

      Delete
  10. this ghazal is ultimate by muni begam

    ReplyDelete